Manzilon ki talaash me,
Hum jo tay karne chale safar,
Bhool hi gaye us dagar ko...
Jinse manzil tak ka raasta dikhaya,
Raasta jisne chalna sikhaya.
Jahan jo jab thokar lagi us raaste pe,
Toh apne kadmon ki aahat par vishwaas paya,
Us vishwaas ki binaah par hi toh daudne lage hum...
Bachpan ke sathiyon ko bhool,
Aur masoom shaitaniyon ko bhula,
Us undekhi manzil ko pane ki chaah liye,
Phir udne lage hum,
Badlon se halke pankhon pe sawaar,
Udne lage hawaon ki aashiyane mein.
Makhmale se sapno ka tana-bana liye,
Sir ko uncha kiye, nazron ko jhukana hi bhool gaye.
Hawa se aandhi bane apne khwabon ke peeche,
Bhool gaye ki nazar jhukane se thokar na lagegi...
Ki ye hawa phir jab rukegi,
Woh raaste hi honge haunsla bandhne wale.
Raaste jo mudte hain, judte hain...hazaron manzilon se,
Raaste jahan chalne, ladkhadane ka silsila thamta nahi,
Raaste jin par chal kar hi udna seekha hai aaj hum sabne,
Unhe bhool nahi sakte...
Un raaston pe lamhe jine ka alag hi hai maza hai,
Aaj un raaston pe chalne ki hi meri raza hai,
Sapne dekhte rehne ke liye raaste hi jaruri hain,
Manzil milne pe sapna hakeekat me tabdil ho,
Dhuyen ke gubbare sa fat jayga...
Raaston pe chalne se shayad,
Hamari nazar ka ye dhundlaka chat jayga,
Dekh payenge hum raaston pe chalkar hi,
Ki sapno ko pane se behtar hai,
Un sapno me apni zindagi basar kar lene me.
Is ummeed ko apni muskaan me samete
Aaj phir naye raste pe chalne ka nirnaya lete hain,
Chalo nayi dagar pe chalte hain...naya safar jeene ke
liye...